LYRIC

Zindagi ke faisle mein
Hamne ye bhi to na socha
Khubsurat khwab se badke
Koi hota hai na dhokha
Khusiyo ke mosam ho
Ya ho gham ke saye
Jeena hi padta hai agar dil tut bhi jaye
Zindagi ke faisle mein
Hamne ye bhi to na socha
Khubsurat khwab se
Badke koi hota hai na dhokha

Dil ki tamnna rah gayi dil mein
Har lamha hai ab muskil mein
Le gayi moje sab kuch apna
Kya rakha hai ab sahil me
Chahat mein jab koi mil ke na mil paye
Sagar ke hote bhi dil pyasa rah jaye
Zindagi ke faisle mein
Hamne ye bhi to na socha
Khubsurat khwab se badke
Koi hota hai na dhokha

Jo milna hai mil ke rahega,
Jo khona hai kho ke rahega
Kitni bhi karle kosis koi,
Jo hona hai hoke rahega
Wakt kabhi darde
Dil deke kyu tadpaye
Aur kabhi jakhmo ka
Khud marham ban jaye
Zindagi ke faisle mein hamne
Ye bhi to na socha
Khubsurat khwab se badke
Koi hota hai na dhokha
Khusiyo ke mosam ho
Ya ho gham ke saye
Jeena hi padta hai agar
Dil tut bhi jaye
Khusiyo ke mosam ho
Ya ho gham ke saye
Jeena hi padta hai
Agar dil tut bhi jaye.

LYRIC INFORMATION

Composer Jatin Pandit | Lalit Pandit
Lyricist Israr Ansari
Cast Amisha Patel | Mahima Choudhary | Shakti Kapoor | Alok Nath | Kulbhushan Kharbanda | Vivek Shauq | Dinesh Hingoo | Supriya Karnik
Director Jatin Pandit | Lalit Pandit
Release date 4th March, 2005

VIDEO