LYRIC

Yeh zulfon ki bikhri
Ghata kya kehti hai
Zara sun mera dil
Deewana kya bole re
Yeh aanchal ki mehki
Hawa kya kehti hai
Nigaahon ka yun
Muskurana kya bole re

Aate jaate mujhko dekhe
Na kare pyar ki baat koi
Aate jaate mujhko dekhe
Na kare pyar ki baat koi
Tera dil bhi kehta hoga
Ho dilruba saath koi
Yeh hothon pe rukti
Sadaa kya kehti hai
Yeh saanson ka gumsum
Tarana kya bole re

Aise tanha tujhko paake
Dil mein koi pyaas jaage
Aise tanha tujhko paake
Dil mein koi pyaas jaage
Dil pe qaabu na reh jaaye
Pal bhar tere paas aake
Yeh lehraati balkhaati
Baahen kya kehti hain
Yeh kadmon ka yun
Dagmagana kya bole re

Yeh zulfon ki bikhri
Ghata kya kehti hai
Zara sun mera dil
Deewana kya bole re
Yeh aanchal ki mehki
Hawa kya kehti hai
Nigaahon ka yun
Muskurana kya bole re.

LYRIC INFORMATION

Composer Rajesh Roshan
Lyricist Anjaan
Cast Amitabh Bachchan | Shashi Kapoor | Hema Malini | Parveen Babi | Kader Khan
Director Rajesh Roshan
Release date 10th February, 1980

VIDEO