LYRIC

Ya rab hamaari aah mein
Itna asar nahin
Ham unke ho gaye hain
Ye unko khabar nahin
Milti hain unse roz
Hamaari nazar to kya
Milti hain unse roz
Hamaari nazar to kya
Ab jaa ke unke dil mein jhaank
Aisi nazar nahin
Ya rab hamaari aah mein
Itna asar nahin

Kuchh bhi hai mukhtasar sa
Hotaa hai baar baar
Kuchh dil mein un ki yaad hai
Dard-e-jigar nahin
Ya rab hamaari aah mein
Itna asar nahin

Hamko gila hai
Rasme mohabbat se har ghadi
Hamko gila hai
Rasme mohabbat se har ghadi
Koyi garaz nahin hai ke
Dil aur jigar nahin
Ya rab hamaari aah mein
Itna asar nahin.

LYRIC INFORMATION

Composer Sajjad Hussain
Lyricist Hamid Hyderabadi
Cast Amir Bano | Prem Adib
Director Sajjad Hussain

VIDEO