LYRIC

Ye taazgi ye naazuki ye saadgi
tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
Tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

Teri aankhen baatein karti hain
Jaise lahrein baatein karti hain
Kya guzar hua hai gulshan se
Yaa phoolon se nahaa ke aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

Amrit kaa ras honton mein bharaa
Kya paakiza hai naam tera
Dhadkan ki tarah se chalti hai
Kya dil bankar aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

Is jahaan mein kiski amaanat hai
Tu kiske dil ki mohabbat hai
Hai kaun nasibon wala jiski
Tu dulhan bankar aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai
Tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai.

LYRIC INFORMATION

Composer Usha Khanna
Lyricist Saawan Kumar Tak
Cast Kapil Jhaveri | Saloni Aswani | Amrish Puri
Director Usha Khanna
Release date 12th December, 2003

VIDEO