LYRIC

Mmm…

Kaisa ye kaarvaan, kaise hain raaste

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Saara sukoon hai khoya

Khushiyon ki chahat mein

Dil ye seham saa jaaye

Chhoti si aahat mein

Kuch bhi samajh na aaye, jaana hai kahaan

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Alfaaz saanson mein hi, aake bikharte jaayein

Khamoshiyon mein bole ye aankhen bezubaan

Parchhaiyan hain saathi

Chalta hi jaaye raahi

Koi na dekhe ab yoh zakhmon ke nishaan

Kuch bhi samajha na aaye, jaana hai kahaan

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Na roshni hai koi

Aashayein khoyi khoyi

Toota phoota hai ummedon ka jahaan

Na bekarari koi

Bandish rihaai koi

Ab tu nigaahon mein na koi intezaar

Kuch bhi samajha na aaye, jaana hai kahaan

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye

Khwabon ko sach karne ke liye

Titli ne saare rang bech diye