LYRIC

Sau aansoo roye do akhiyan

Sau aansoo roye do akhiyan

Maara hai jinhe neendon ne

Kabhi na soye wo akhiyan (x2)

Dil ka musaafir baat na maane

Mud mud dekhe raste puraane

Zidd chhodta hi nahi (nahi..)

Dekh raha hai kaanch ke sapne

Ik na ik din hain jo tidakne

Ishq mein tooti cheeze jag mein

Koi jodta hi nahi, dil jaane na

Sau aasoon roye do akhiyan

Sau aasoon roye do akhiyan

Maara hai jinhe neendon ne

Kabhi na soye wo akhiyaan

Wo ankhiyan..

O..

Jaane waala jaane nahi

Jaane se uske jaan gayi

Aate jaate phir wo dikhe

Palkon ne chhaane mod kayi

Guzra huaa pal guzra nahi

Uska laga rang utra nahi

Hothon se chhuti nahi gaye saajan ki batiyan

Sau aansu roye do akhiyan

Sau aansu roye do akhiyan

Maara hai jinhe neendon ne

Kabhi na soye wo akhiyan

Wo.. o…

Kaise koi roke bhalaa

Haath laqeerein chhod gayin

Laakhon dil ke tukde kiye

Dhadkan ko bhi tod gayi

Kabhi theharega dard kahin

Koi gunjaaish dikhti nahi

Chanda bin jiya na lage

Jal kaajal si ratiyan

Sau aansu roye do akhiyan

Sau aansu roye do akhiyan

Maara hai jinhein neendon ne

Kabhi na soye woh akhiyan

Wo.. o…

Sau aansu roye

Sau aansu roye do akhiyan

Sau aansu roye do akhiyan

Sau aansu roye..

Maara hai jinhein neendon ne..

Kabhi na soye… woh akhiyaan..

LYRIC INFORMATION

Composer Shankar-Ehsaan-Loy
Lyricist Kumaar