LYRIC

Mazare kait par
Jab ruhe laila ek din aayi
Toh armaano ke murjaaye
Hue kuck phool laayi
Lage jab phool rakhne
Toh kabra se aawaz ye aayi
Chadhana phool jaaneman
Par aahistaa-aahista

Sarakti jaaye hain
Sarakti sarakti sarakti ii..
Sarakti sarakti sarakti ii..
Sarakti jaaye hain rukh se
Naqaab aahistaa-aahista
Nikalta aa raha hai aaftaab
Aahistaa-aahista
Sarakti jaaye hain rukh se
Naqaab aahistaa-aahista

Jawan hone lage jab
Wo to humse kar liya parda
Jawan hone lage jab
Wo to humse kar liya parda
Jawan hone lage jab
Wo to humse kar liya parda
Hayaa yakalakht aaee
Hayaa yakalakht aaee aur
Shabaab aahistaa-aahista

Sab-e-furkat ka jaaga hoon
Sab-e-furkat ka jaaga hoon
Faristhon ab to sone do
Sab-e-furkat ka jaaga hoon
Faristhon ab to sone do
Ab to sone do, ab to sone do,
Ab to sone do
Do ab to sone do,
Ab to sone do, ab to sone do
Sab-e-furkat ka jaaga hoon
Faristhon ab to sone do
Kabhi fursat mein
Kabhi fursat mein kar lena
Hisaab aahistaa-aahista

Hamaare aur tumhaare
Pyaar mein bas farq hai itna
Hamaare aur tumhaare
Pyaar mein bas farq hai itna
Idhar to jaldi jaldi hai
Udhar aahistaa-aahista
Idhar to jaldi jaldi hai
Udhar aahistaa-aahista

Badi bedardi se sar kaate
Ameer aur main kahoon unse
Huzur aahistaa aahistaa
Janaab aahistaa-aahista
Huzur aahistaa aahistaa
Janaab aahistaa-aahista.

LYRIC INFORMATION

Composer Jagjit Singh
Lyricist Ameer Meenai
Director Jagjit Singh

VIDEO