LYRIC

Chahe naina churao, chahe daman bachao
Pyar hoke rahega
Pyar hoke rahega

Chahe naina churao, chahe daman bachao
Pyar hoke rahega
Pyar hoke rahega
Chahe naina churao

Arre ye anjane raste, ye nagari anjani
Ho o ye anjane raste, ye nagari anjani

Arre iss chakkar se na bache, kya gyani, kya dhyani
Ho o iss chakkar se na bache, kya gyani, kya dhyani

Tum in pyar ki galiyo se chahe bach bachke jao
Pyar ho ke rahega
Pyar ho ke rahega, chahe naina churao

Arre iss duniya ki bhid me aaoge akele
Ho o iss duniya ki bhid me aaoge akele

Arre aate hi lag jayenge armano ke mele
Ho o aate hi lag jayenge armano ke mele

Mann ke raj mahel mein chahe   parde giraao
Pyar ho ke rahega
Pyar ho ke rahega, chahe naina churao

Arre kahene ko toh pyar pe marta hai jamana
Ho o kahene ko toh pyar pe marta hai jamana

Arre lekin apni har se darta hai jamana
Ho o lekin apni har se darta hai jamana

Tum ye pyar ka tarana chahe gao na gao
Pyar ho ke rahega
Pyar ho ke rahega, chahe naina churao.

LYRIC INFORMATION

Composer Jaikishan Dayabhai Panchal | Shankar Singh Raghuvanshi
Lyricist Shailendra (Shankardas Kesarilal)
Cast Kamini Kaushal | Shekhar | Om Prakash
Director Jaikishan Dayabhai Panchal | Shankar Singh Raghuvanshi
Release date 1st January, 1953

VIDEO