LYRIC

Nazro mein hai sau afsane
Koi jane koi na jane
Nazro mein hai sau afsane

Ek nazar mein aag bhari hai
Ek nazar mein sagar
Ek nazar mein aag bhari hai
Ek nazar mein sagar
Dono pyale chalak rahe hai
Pyasa ho to ha kar
Jhijhakta kyu hai o diwane
Koi jane koi na jane
Nazro mein hai sau afsane

Saanso mein tu raaz ke garmi
Hotho pe angare
Bol to mai dikhladu tujhko
Din mein chand sitare
Bigadta kyu hai o mastane
Koi jane koi na jane
Nazro mein hai sau afsane

Tu jakhmi hai main hu marhum
Phir kyu kar ghabraye
Dono aalam tujhpe sadke
Kahe ko tadpaye
Jalata kyu hai o parwane
Koi jane koi na jane
Nazro mein hai sau afsane.

LYRIC INFORMATION

Composer Bipin Dutt
Lyricist Noor Dewasi
Cast Maruti | Nishi | Tun Tun | Hira Sawant
Director Bipin Dutt

VIDEO