LYRIC

Khamosh rehne mein dum ghutta hai

Aur bolne se zabaan chhilti hai

Darr lagta hai nange paaon mujhe

Koi kabr paaon tale hilti hai

Paresaan hoon zindagi se

Kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi

Kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi

Bas ke main zindagi se darta hoon

Bas ke main zindagi se darta hoon

Maut ka kya hai..

Ek baar maaregi..

Dhool udne lagti hai jab shaam ki

Sab kaanch bhar jaate hain gard se

Main darta hoon

Main darta hoon

Dil jab dhadakne se thakne lage

Neend aane lagti hai tab dard se

Anjaan hoon zindagi se

Kya pata kab kahaan se maaregi zindagi

Kya pata kab kahaan se maaregi zindagi

Bas ke main zindagi se darta hoon

Bas ke main zindagi se darta hoon

Maut ka kya hai..

Ek baar maaregi..