LYRIC

Koyi pyaar ki dekhe jaadugari
Gulfaam ko mil gayi sabzpari
Koyi pyaar ki dekhe jaadugari
Gulfaam ko mil gayi sabzpari

Dar aaj nahin hai qaatil kaa
Aasan hai rasta manzil kaa
Dar aaj nahin hai qaatil kaa
Aasan hai rasta manzil kaa
Nainon mein naya ik sapna hai
Ab sara zamana apna hai
Nainon mein naya ik sapna hai
Ab sara zamana apna hai
Duniyaa hai hamaari pyaar bhari
Duniyaa hai hamaari pyaar bhari
Koyi pyaar ki dekhe jaadugari
Gulfaam ko mil gayi sabzpari

Ham pyaar ke panchhi mastaane
Koyi rang hamaare kya jaane
Ham pyaar ke panchhi mastaane
Koyi rang hamaare kya jaane
Nahin ek thikana jeewan mein
Kal qaid mein the ab gulshan mein
Nahin ek thikana jeewan mein
Kal qaid mein the ab gulshan mein
Taqdeer ki hai sab kaarigari
Taqdeer ki hai sab kaarigari
Koyi pyaar ki dekhe jaadugari
Gulfaam ko mil gayi sabzpari
Koyi pyaar ki dekhe jaadugari
Gulfaam ko mil gayi sabzpari.

LYRIC INFORMATION

Composer Naushad Ali
Lyricist Shakeel Badayuni
Cast Dilip Kumar | Meena Kumari
Director Naushad Ali

VIDEO