LYRIC

Ye aarju thi ke hanskar koyi mila hota
Kahi to humse kisi ka dil aashana hota
Kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe

Gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe

Sabha bhi layi na koyi payam apno ka
Sabha bhi layi na koyi payam apno ka
Suna rahi hai fasane idhar udhar ke mujhe
Gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe

Maf kijiye, jo mai ajnabi hu mehfil me
Maf kijiye, jo mai ajnabi hu mehfil me
Ke raste nahi malum is nagar ke mujhe
Gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe

Wo dard hai ke jise sah saku na keh pau
Wo dard hai ke jise sah saku na keh pau
Milega chain to ab jaan se gujarke mujhe
Gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe

Kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe
Gaya phira aaj ka din bhi udas karke mujhe
Kisi ne bhi to na dekha nigah bharke mujhe
Nigah bharke mujhe, nigah bharke mujhe.

LYRIC INFORMATION

Composer Anand Shrivastav | Milind Shrivastav
Lyricist Majrooh Sultanpuri
Cast Jeetendra | Mithun Chakraborty | Dimple Kapadia | Amrita Singh | Sonu Walia | Kabir Bedi | Divya Bharti | Shahrukh Khan
Director Anand Shrivastav | Milind Shrivastav
Release date 23rd October, 1992

VIDEO