LYRIC

Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha
Laz meri bhagwan nibhayega
Upwas tab tak na todungi
Swami jab tak na ghar mere ayega
Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha
Laz meri bhagwan nibhayega
Upwas tab tak na todungi
Swami jab tak na  ghar mere ayega
Karwa chauth ka vart maine rakha

Jab tak gagan mein rahe chandarma
Mere jeevan mein mera sajna rahe
Jab tak gagan mein rahe chandarma
Mere jeevan mein mera sajna rahe
Mere pati ki muskano se
Mahka mera ghar angana rahe
Mere pati ki muskano se
Mahka mera ghar angana rahe
Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha

Aaya na ayega pee ke siva
Koi meri zindgani mein
Aaya na ayega pee ke siva
Koi meri zindgani mein
Chand aur suraj ka chehra na tha
Dekha to dekha bas paani mein
Dekha to dekha bas paani mein
Mera to bhagwan mera pati hain
Tere hi charno mein swarg hain mera
Mera to bhagwan mera pati hain
Tere hi charno mein swarg hain mera
Jau to jau main kanthe pe tere
Sindur ho mang mein bas tera
Jau to jau main kanthe pe tere
Sindur ho mang me bas tera
Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha
Karwa chauth ka vart maine rakha.

LYRIC INFORMATION

Composer Anu Malik
Lyricist Indeevar (Shyamalal Babu Rai)
Cast Mithun Chakraborty | Sangeeta Bijlani | Aditya Pancholi | Danny Denzongpa | Shakti Kapoor | Paresh Rawal
Director Anu Malik
Release date 6th July, 1990

VIDEO