LYRIC

Samay ka dariya bahata jaye
Samay ka dariya bahata jaye
Bahte bahte kahta jaye
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain

Apni badnamiyo ke saye mein
Roz jita hu roz marta hoon
Tum mujhe bhul gayi ho
Lekin main tumhe
Ab bhi yaad karta hoon
Main tumhe ab bhi
Yaad karta hoon
Dil kab tak ye sahta jaye
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain

Jinhe ek pal ko mai nahi bhula
Pana chaha sada jinhe phir se
Jinki yado ko pujta mai raha
Paya aur kho diya unhe phir se
Paya aur kho diya unhe phir se
Aansu kyu na bahta jaye
Jeevan ek sangharsh
Jeevan ek sangharsh
Samay ka dariya bahata jaye
Bahte bahte kahta jaye
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain

Is tarha jeene pe majbur huye
Jisko chaha usi se dur huye
Humne pyar ke jo dekhe sapne
Sare shishe ki tarha chur huye
Chur huye
Gam ka lawa bahta jaye
Jeevan ek sangharsh
Jeevan ek sangharsh
Samay ka dariya bahata jaye
Bahte bahte kahta jaye
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain
Jeevan ek sangharsh hain.

LYRIC INFORMATION

Composer Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal) | Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Lyricist Javed Akhtar
Cast Anil Kapoor | Madhuri Dixit
Director Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal) | Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Release date 3rd August, 1990

VIDEO