LYRIC

Hum paas aaye tum door gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule
Kuchh tumne kaha hum man gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule

Us milne mein hai bada maza
Jo bichhad bichhad kar milna ho
Aaj dono chale gale milkar
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule
Hum paas aaye tum door gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule

Hum dil dekar barbad hue
Ye pahli bhul hamari thi
Tum dil lekar muh fer gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule
Kuchh tumne kaha hum man gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule

Hum dil dekar pahchtate hai
Tum dil lekar pachtate ho
Ik bhul hui hai dono se
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule
Hum paas aaye tum door gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule

Tum pyar hamara bhul gaye
Hum zurm tumhara bhul gaye
Ye tumko yaad rahe na rahe
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule
Kuchh tumne kaha hum man gaye
Kuchh tum bhule kuchh hum bhule

LYRIC INFORMATION

Composer Hansraj Behl
Lyricist Qamar Jalalabadi
Cast Bharat Bhushan | Sulochana Chatterjee | Jeevan | Badri Prasad
Director Hansraj Behl

VIDEO