LYRIC

Hairat-e-nazara aakhir
Ban gayin ranayiyaan
Hairat-e-nazara aakhir
Ban gayin ranayiyaan
Khaaq ke zarron mein
Aati hain nazar gulzaariyaan
Khaaq ke zarron mein
Aati hain nazar gulzaariyaan

Jab se dekhaa hai tujhe ik
Dard hai dil mein nihaan
Jab se dekhaa hai tujhe
Ik dard hai dil mein nihaan
Ae sabaa le jaa toohi
Un tak meri bedaariyaan
Hairat-e-nazara aakhir
Ban gayin ranayiyaan

Marhabaa barq-e-jamaal-e
Marhabaa barq-e-jamaal-e
Marhabaa barq-e-jamaal-e-yaar
Tujh par be-nisaar
Marhabaa josh-e-junoon-e-ishq
Ki ruswaaiyaan
Hairat-e-nazara aakhir
Ban gayin ranayiyaan

Alvidaa ae qaafile waale
Mujhe ab chhod do
Meri kismat mein likhi
Hain dasht ki veeraaniyaan
Hairat-e-nazara aakhir
Ban gayin ranayiyaan.

LYRIC INFORMATION

Composer Mihir Kiran Bhattacharya
Lyricist Hakim Ahmad Shuja
Cast K. L. Saigal | Rattan Bai | Pahari Sanyal | Rajkumari | Shyama Zutshi | Gul Hamid | Pahari Sanyal | Molina | Siddiqi | Kapoor | Rana
Director Mihir Kiran Bhattacharya

VIDEO