LYRIC

Ek hi tha jagat mein sahara
Na raha ab to wo bhi hamara
Ek hi tha jagat mein sahara
Na raha ab to wo bhi hamara
Na raha na raha

Teri itni badi duniya mein
Teri itni badi duniya mein
Kisko jane hum apna sahara
Koi jalta rahe to tumhe kya
Tum to chupke se dekho nazara
Na raha ab to wo bhi hamara
Na raha na raha

Dekho dekho papiha pukara
Kahi rota hai bulbul bechara
Kahi girte hai aansoo sama ke
Dukh bhara hai ye jagat tumhara
Par tumhe to nind bhi na aayi
Lahk tadpa wo bechara
Na raha ab to wo bhi hamara
Na raha na raha

Hum ko insan bana kar utara
Deke bechaino ka sahara
Unse apne jaha ko bata kar
Mujhko darde judai se mara
Sukh kahi dukh kahi kahi rona
Wah re malik nara ye hamara
Na raha ab to wo bhi hamara
Na raha na raha
Ek hi tha jagat mein sahara
Na raha ab to wo bhi hamara
Na raha na raha.

LYRIC INFORMATION

Composer Hansraj Behl
Lyricist Habeeb Sarhadi
Cast Meena | Masood | Jayant
Director Hansraj Behl

VIDEO