LYRIC

Do sitaro ka zameen par
Hai milan aaj ki rat
Do sitaro ka zameen par
Hai milan aaj ki rat
Muskurata hain ummido
Ka chaman aaj ki rat
Rang layi hain mere
Dil ki lagan aaj ki rat
Sari duniya najar aati
Hain dulhan aaj ki rat
Do sitaro ka zameen par
Hai milan aaj ki rat
Aaj ki rat

Husnwale teri duniya
Me koyi aaya hain
Tere didar ki hasarat
Bhi koyi laya hain
Tod de tod de parade
Ka chalan aaj ki rat
Muskurata hain ummido
Ka chaman aaj ki rat
Do sitaro ka zameen
Par hai milan aaj ki rat
Aaj ki rat

Jinase milane ki tamanna
Thi wahi aate hain
Chand tare meri raaho
Me bichhe jate hain
Chumata hain mere
Kadmo ko gagan aaj ki rat
Sari duniya najar aati
Hain dulhan aaj ki rat
Do sitaro ka zameen
Par hai milan aaj ki rat
Aaj ki rat.

LYRIC INFORMATION

Composer Naushad Ali
Lyricist Shakeel Badayuni
Cast Dilip Kumar | Meena Kumari
Director Naushad Ali

VIDEO