LYRIC

Dhai akhar prem kahaani

Bezubaan naino ki zubaani

Dhai akhar prem kahaani

Bezubaan naino ki zubaani

Padhte hi dil bas kho hi gaya

Jiska tha darr woh ho hi gaya (x2)

O ho…

Naina mere mujhse hi chhup ke baraste rahe

Phir bhi bezaar na huaa

Palke bicha bas ik jhalak teri paane ki khatir

Dhoondhe ye tera hi pataa

Na jaane isey kya huaa

Ishq hi aadat wahi purani

Thoda sa machla, kee nadaani (x2)

Raaton ki neendein chura le gayaa

Jiska tha darr woh ho hi gayaa

O ho ho…

Saansein bahe

Kuch na kahe… dhadke bekhabar

Kyun aitbaar na rahaa

Tham ke chale

Jismon ko khud se mila de ye shatir

Karde na koi ye khataa

Na jaane isey kya huaa

Pyar mein hoti hai manmaani

Padti hai keemat bhi chukaani (x2)

Soye soye armaan jagaa ke gaya

Jiska dar tha woh ho hi gaya