LYRIC

Mata mata o mata o karva mata
Patni pati ka tute na nata
Patni ke sar pe chhaya jaise
Dharti pe jaise ambhar ka chhata

Aur bhale kuchh bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor
Aur bhale kuchh bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor
Meri mang mein saja rahe
Chutki bar sindoor
Aur bhale kuchh bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor

Jeete ji na raam kare tum
Se alag ho jau
Sath rahungi pass rahungi
Chahe kahi main kho jau
Ek pal mein sau baar lungi
Tera naam zaroor
Aur bhale kuch bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor

Ye jeevan waada hain
Waada pura karna hain
Ye jeevan waada hain
Waada pura karna hain
In kadmo mein jeena hain
In kadmo mein marna hain
Pal bhar to meri nazaro
Se tum mat jana door

Aur bhale kuch bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor
Meri mang mein saja rahe
Chutki bar sindoor
Aur bhale kuch bhi ho jaye
Mujhko sab manzoor.

LYRIC INFORMATION

Composer Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal) | Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Lyricist Anand Bakshi
Cast Dharmendra | Rishi Kapoor | Kimi Katkar
Director Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal) | Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Release date 12th July, 1990

VIDEO